Rawalpindi se ek afsosnaak khabar saamne aayi hai jahan 15 saal ka ek larka tez dhar aalay ke war se jaan se haath dhobayta. Yeh waqiya ilaqay ke logon ke liye intehai shocking tha aur tamam mohalla gham mein doob gaya. Masoom umar mein zindagi khatam ho jana har kisi ko rula gaya.
Police ke mutabiq, waqiya ke foran baad mulzim ko giriftar kar liya gaya hai aur us se tahqiqat jari hai. Abhi tak asal wajah ka pata nahi chal saka lekin kaha ja raha hai ke kisi choti si baat par ye khatarnaak jaghra shuru hua tha jo maut par khatam hua.
Ladke ke ghar walon ka kehna hai ke unka beta bilkul masoom tha aur usay be-rehmi se qatal kiya gaya. Ghar mein rona padh gaya hai aur pura ilaqa un ke gham mein shaamil hai.
Yeh waqiya ek martaba phir samajh ke samne sawal uthata hai ke naujawan nasal gussa aur tashadud ki taraf kyun itni jaldi chal parhti hai? Har choti si baat ko izzat ka masla bana kar qatal tak pohanch jana hamare liye ek samaji challenge hai.
Police ne mulzim ko adalat mein pesh karne ka elan kiya hai aur kaha hai ke qanoon apna rasta ikhtiyar karega. Magar sawal yeh hai ke kya sirf ek mulzim ki giriftari se samajh ke yeh zakham bhar sakte hain?