Mardan se ek aur afsosnaak khabar saamne aayi hai. Bank Road Garden Mohalla mein ek newborn baby phenk di gayi, jo dekh kar wahan mojood log heraan reh gaye. Masoom bachchi ki masoomiyat aur bebas surat ne sab ko rula diya. Yeh manzar na sirf dil ko chheen lenay wala tha balki samajh ke liye ek aaina tha ke hum kis taraf ja rahe hain.
Samajh ke liye sab se bada sawal yeh hai ke aakhir kyun aise waqiyaat barh rahe hain? Kya hum itne be-hiss ho gaye hain ke ek zinda bachchi ko be-reham taur par kachray ki tarah phenk dena normal lagne laga hai? Yeh sirf ek insaniyat ka qatl nahi, balki ek samaji nakaami bhi hai.
Is waqiya ne ek martaba phir humein yeh yaad dilaya hai ke hamare nizam, hamari taleem aur hamari samaji zimmedariyaan abhi kitni kamzor hain. Jab tak log apne gunnah aur galtiyon ka bojh masoom zindagiyon par dalte rahenge, aise waqiyaat rukne wale nahi.
Humein zarurat hai ke samajh ko jagaya jaye, logon ko taleem aur awareness di jaye, aur unhein bataya jaye ke har ek zindagi Allah ka diya hua tohfa hai. Agar hum apne farz ada karen, to na sirf aise waqiyaat rukenge balki ek behtar mustaqbil bhi mumkin hoga.