Sarghoda se taluq rakhnay wali ek doctor aurat ne apni zindagi ke sabse personal maslay ka izhar karte hue kaha hai ke wo maa nahi ban sakti, jis wajah se unki shaadi ab tak nahi ho saki. Is ke bawajood wo himmat ke sath apna chhota sa clinic chala rahi hain aur logon ki khidmat mein masroof hain.
Unhon ne kaha ke zindagi sirf bacho tak mehdood nahi hoti, asal cheez ek mukhlis aur samajhdar humsafar hai jo saath nibha sakay aur mushkil asaan har waqt ka sathi ban sakay. Apni taleem aur peshay se wafadari ka saboot dete hue wo logon ke liye ek misaal hain ke aurat apni mehnat aur hoslay se zindagi ka har safar tay kar sakti hai.
Is waqt wo ek aise insaan ki talaash mein hain jo unki kami ko samajhne ke bajaye unki mohabbat, samajhdari aur imandari ki qadr kare. Unka kehna hai ke wo paisay ya khandan se mutasir nahi hain, sirf ek achay insaan ki zarurat hai jo unke dil aur zindagi ka hamsafar ban’ne ko tayar ho.
Yeh misaal sab ke liye ek sochnay wali baat hai ke zindagi ka asal husn mukhlis rishtay mein hota hai, na ke sirf bacho mein.