Aaj ke digital daur mein har insan ke haath mein mobile aur social media ka access hai. Koi bhi khabar sirf kuch seconds mein viral ho jati hai, chahe wo sach ho ya jhoot. Isi trend ne fake news ko ek aisi bemari bana diya hai jo sirf afraad nahi, poori society ko mutasir kar rahi hai.
Fake news ka sabse bara asar ye hota hai ke log asal sach aur afwah mein farq karna bhool jaate hain. Kisi mashhoor shakhsiyat ke khilaf jhooti khabar phaila di jaye to unki saalon ki mehnat ek pal mein mitti mein mil sakti hai. Ye sirf badnami nahi balkay mental stress aur social pressure ka sabab bhi banti hai.
Is liye zarurat hai ke har journalist, content creator aur social media user apni zimmedari samjhe. Khabar share karne se pehle verify karein, source check karein aur sensational headlines se bachein. Journalism ka asal maqsad “views” nahi balkay truth aur awareness ko promote karna hai.
Ham sab ka farz hai ke hum digital dunia mein sach ka saath dein aur aise content ko support karein jo imandari aur research par mabni ho. Sirf tabhi hum ek responsible aur mature media culture bana sakte hain.